aisa nahin duaon mein manga nahin tujhe qismat mein hi nahin tha jo paya nahin tujhe dil to aqidaton ki hadon se guzar gaya wo to khuda ka khauf tha puja nahin tujhe sab muntazir the meri nigahen kidhar uthen main ne bhi ehtiyat mein dekha nahin tujhe shayad palat ke dekh le tu hi meri taraf main ne isi umid pe roka nahin tujhe tere khayal sath the mere qadam qadam main to kisi qadam pe bhi bhula nahin tujhe andesha-e-judai ke dar mein jiya hun main ye mat samajh ke tut ke chaha nahin tujhe wo pal haram ho gaya 'mashkur' ke liye jis pal tasawwuraat mein paya nahin tujhe