kaifiyat-e-dil-e-hazin hum se nahin bayan hui lafz na sath de sake aansuon se ayan hui shorish-e-wardat-e-qalb sheron mein dhaal dhaal kar likhte rahe tamam umr khatm na dastan hui ab na wo dil mein dhadkanen ab na wo soz-o-saz hai puchhte hain wafat-e-dil kaise hui kahan hui meri zara si baat par jaane wo kyun khafa hui koi na talkh guftugu donon ke darmiyan hui ghar to hazaron ban gae inton ko jod jod kar ghar ke makinon ki wafa zinat-e-ashiyan hui surat thi wo ki barq si badliyon ki thi ot mein pardon se jhank jhank kar pardon mein hi nihan hui ek hi shakh par rahe badh mein sanp aur aadmi kaisi ajib dosti donon ke darmiyan hui