aisa nahin ki munh mein hamare zaban nahin hain kam-sukhan zarur pa aajiz bayan nahin har-chand jaante hain use hum qarib se par kya karen ki pa-e-sukhan darmiyan nahin achchha to ek pal ke liye hi utha ke dekh ai aasman jo bar-e-amanat-garan nahin khud hum mein tab-e-did nahin hai ye aur baat rahta hai wo nigah ke aage kahan nahin 'farrukh' kahin na sun ke kare wo bhi an-suni kahte hain us se is liye dard-e-nihan nahin