hawa se dast-o-gareban hua to bhed khula main khud diye ki jagah par jala to bhed khula hum apne naqsh bhi kho baithe us hasin ke liye hamare hath laga aaina to bhed khula mujhe khabar hi na thi gham bhi hain zamane mein jab aasman mere sar par gira to bhed khula main chikhta hi raha be-asar sadaen din kisi taraf na mila jab khuda to bhed khula kisi ne hath badhaya na koi pas aaya rah-e-wafa pe main thak kar gira to bhed khula ye hadse mujhe patthar samajh rahe the 'adil' phir ek roz main jab ro pada to bhed khula