aisa to yahan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak hum ko to pahunchna tha kisi khwab-nagar tak ab panw nahin rah mein dil thakne laga hai lekin hamein chalna to hai anjam-e-safar tak hum shor bhi sunte hain samaat se bahut kam aawaz bhi jati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr ka ye ped gira dun jab hath pahunchta hi nahin shakh-e-samar tak hum apne hi mausam se parakhte hain jahan ko mahaul ka lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh raha hun ab dekhiye jati hai ye aawaz kidhar tak