bistar-e-karb pe jab nind jalai main ne tab kisi khwab ki buniyaad uthai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi pai main ne main ne zakhmon ko kureda unhen taza rakkha tab kahin dasht mein ki naghma-sarai main ne apni khidki se yunhi khud ko pukara kal shab aur phir khud ko wo aawaz sunai main ne jaane wale se rag-e-jaan ka bhi rishta tha 'samir' ye samajhne mein bahut der lagai main ne