aisa tufan hai ki sahil ka nazara bhi nahin dubne wale ko tinke ka sahaara bhi nahin ki dua dushman ne aakhir main na kahta tha tumhein dost jo mera nahin hai wo tumhaara bhi nahin dubte dekha jo tufan mein nigahen pher lin doston ne mujh ko sahil se pukara bhi nahin ai nigah-e-shauq nazzara ye nazzara hai kya aashkara bhi hai jalwa aashkara bhi nahin aas rakhta hai karam ki ho ke mahrum-e-karam be-sahaara bhi hai 'purnam' be-sahaara bhi nahin