kahan talash karen naqsh-e-ashiyana koi ye shahr jaise bada sa hai qaid-khana koi so apni hijrat-e-paiham ka bas jawaz hai ye parinde dhundte rahte hain aab-o-dana koi maal-e-ishq pata hai use magar phir bhi talash leta hai har bar dil bahana koi ajab tilism hai jo waqt kho gaya hai kahin hua hai lad ke din raat ko rawana koi khile hain phul saba chaar su hai mahki hui chaman se guzra tha kya husn-e-kafirana koi kabhi to hazrat-e-naseh bhi dil kushad karen kabhi to mashwara den hum ko mukhlisana koi ajib log hain ninden ajib hain in ki jaga saka na 'qamar' in ko taziyana koi