aise aalam mein bhala kis ka pakadta daman the sabhi log jahan khasta darida-daman aaj aaluda nazar aata hai daman us ka jis ka mashhur-e-zamana raha ujla daman itni fursat hai kise kaun bhala dekhega ashk-e-khunin se labrez kisi ka daman hai baja aap ki angusht-numai lekin kabhi dekhen to sahi aap bhi apna daman gul-e-ummid se phir aaj wo khushbu phuti jis se 'maqbul' meri zist ka mahka daman