tha sard sa kisi ke jawabaat ka badan tanha jala hai mere sawalat ka badan bach bach ke subh-o-sham ki taza hawaon se bimar ho gaya hai riwayat ka badan is sal moajiza ye ajab runuma hua sukha dikhai deta hai barsat ka badan chhu is ko ai asir-e-tamanna adab ke sath nazuk bahut hai un ki inayat ka badan patthar sa sakht us ka rawayya hai ai 'nadim' phulon sa narm hai mere jazbaat ka badan