aise be-mehr zamane se wafa mangta hai dil bhi sada hai khalaon mein hawa mangta hai us ka hum ishq-paraston se taqabul kaisa shaikh to apni ibaadat ka sila mangta hai ja kisi aur se le nisbat-e-aflak miyan hum zamin-zad faqiron se ye kya mangta hai mohtasib daman-e-tazir kushada rakhna shahr ka shahr baghawat ki saza mangta hai khauf itna hai ki bazaron ke sine sakit qarya qarya kisi baghi ki sada mangta hai lakh samjhaun mohabbat ki jhalak pate hi dil wo tarsa hua sail hai ki ja mangta hai kuchh na mil pae to majbur tabiat insan masjid-o-dair-o-kalisa se dua mangta hai meri aankhen tere chehre ki tamazat chahen mera chehra tere aanchal ki hawa mangta hai tujh se jine ke jo asbab talab karta tha ab wo ji-jaan se marne ki dua mangta hai