apne purkhon ki riwayat se hatta hua main zindagi tere sabhi rangon se katta hua main had-e-idrak se aage hai rasai lekin apne andar kisi markaz pe simatta hua main hai mohabbat khas-o-khashak-e-mulaqat ka nam aag ban ke kisi paikar se lipatta hua main kaise la-yani iradon ki chubhan hai mujh mein kaisi aawazon pe har lamha palatta hua main koi wahshi hai meri zat mein pinhan har shab ek darinde ki tarah us pe jhapatta hua main zindagi razm-gah-e-sud-o-ziyan hai 'anjum' ek bebas ki tarah us se nimatta hua main