aise dare hain kis ki nigah-e-ghazab se hum bad-khwab ho gae hain jo do chaar shab se hum kab kaamyab-e-bosa hue us ke lab se hum sharminda hi rahe dil-e-matlab-matlab se hum bosa na le sake kaf-e-pa ka adab se hum katen hain is liye kaf-e-afsos shab se hum sauda-gar-e-safa-e-dil-e-be-ghubar hain ajnas-e-shisha lae hain shahr-e-halab se hum ye roz dhundh lae hai ek khub-ru naya shaki hain apne hi dil-e-afat-talab se hum kashti hamari bahr ki hai manjdhaar mein nikle hain kab kashakash-e-lutf-o-ghazab se hum tarz-e-khiram-e-naz ki be-etidaliyan dekhen hain aur kuchh nahin kahte adab se hum burqe mein ho ki parda-e-chadar mein khub-ru pahchante hain waza se shokhi se chhab se hum shaghl-e-sharab o shisha o saqi-e-naghma-sanj taib hue hain aalam-e-piri mein sab se hum be-lutf zindagi ke hain din aa bhi ai ajal tere hi intizar mein baithe hain kab se hum fan itna kam kya hai ki in rozon 'mushafi' dil mein ek uns rakhte hain sher-e-arab se hum