pahle to mujhe kaha nikalo phir bole gharib hai bula lo be-dil rakhne se faeda kya tum jaan se mujh ko mar dalo us ne bhi to dekhi hain ye aankhen aankh aarasi par samajh ke dalo aaya hai wo mah bujha bhi do shama parwanon ko bazm se nikalo ghabra ke hum aae the su-e-hashr yan pesh hai aur majra lo takiye mein gaya to main pukara shab tera hai jago sone walo aur din pe 'amir' takiya kab tak tum bhi to kuchh aap ko sambhaalo