aise hairan hain ki hairat ki koi had hi nahin

aise hairan hain ki hairat ki koi had hi nahin
aks tuta hai magar aaine pe zad hi nahin

hum tere zarf ki qamat se bahut chhote hain
tere rutbe ke barabar to yahan qad hi nahin

ab yahi aakhiri hal hai ki madine pahunchun
ek wahi dar hai ki jis dar pe koi rad hi nahin

har budhape ko buzurgi bhi nahin mil sakti
tang-galiyon ke nasibon mein ye bargad hi nahin

apne lahje ke talaffuz se ye tashdid hata
dekh alfaz ke chehron pe kahin shad hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close