ab intishaar ki hasrat nahin KHarabe ko

ab intishaar ki hasrat nahin kharabe ko
jo aa rahe ho to aao ye ghar basane ko

tera wajud meri zat ke liye kya hai
khuda ka aasra jaise kisi abhage ko

zamane bhar ke masail mein aise uljhe hain
hamare haal ka kuchh gham nahin hamare ko

khat us ko likhte agar khat mein us ko kya likhte
rawana hum ne tahi kar diya lifafe ko

gai ruton mein kai phul aae the un par
ab ek barg nahin hai badan chhupane ko

main khul ke kar nahin sakta tha apna dukh zahir
koi samajh bhi na paya mere ishaare ko

har ek ke bas ka kahan hai sametna wahshat
junun na jaan faqat khak ke udane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close