aise hi nahin itni ye shauqin hui hai tahrir meri khun se rangin hui hai ai aql-e-gunahgar teri baat mein aa kar shahar-e-dil-e-jazbaat ki tauhin hui hai guzregi qayamat abhi ek samt guman se aankhon ko khula rakhne ki talqin hui hai is shahr-e-dil-azar ke har kuche gali mein khwabon ki badi dhum se tadfin hui hai uthta hai diwanon ka yahan roz janaza ai arz-e-watan tu bhi filistin hui hai hun is liye 'gulfam' shagufta main gulon se kanton se mere husn ki tazin hui hai