barae-nam koi rabta hua to sahi ki ek shakhs mere haal par hansa to sahi zara si der ko sadiyon ki khamushi to gai nawah-e-jaan se koi shor sa utha to sahi dil-e-shikasta ko mauhum si ummid to thi mujhe nasib nahin tha magar wo tha to sahi kabhi tamam to kar bad-gumaniyon ka safar kisi bahane kisi roz aazma to sahi ye kya ki harf-o-sada ka tabaadala bhi nahin kahan hai kaisa hai ai dost kuchh bata to sahi har ek dil ko mohabbat pasand hona hai 'aqil' ab na sahi main nahin raha to sahi