aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin harf o sada fuzul sab lauh o kitab kuchh nahin un se kaho ki is tarah aankhon se bad-guman na hon kaise ajib log hain kahte hain khwab kuchh nahin baithe-bithae dil yunhi khud se uchat ho gaya anjuman-e-hawas mein waise kharab kuchh nahin farq bahut nahin yahan sham o sahar ke darmiyan pyas agar dabi rahe aab o sarab kuchh nahin jaan ka bas ek qarz hai wo bhi utar hi jaega aur kai aziz ka hum pe hisab kuchh nahin