wo shakhs jo rakhta hai jamal aur tarah ka hai us se bichhadne ka malal aur tarah ka aasar kharabi ke hain, aaghaz se zahir lagta hai ki guzrega, ye sal aur tarah ka is shahr-e-ziyan-kar ke imkan se bahar main ab ke dikhaunga, kamal aur tarah ka hota hai hamesha hi nae ranj mein duba is jada-e-wahshat pe dhamal aur tarah ka is shahr-e-fusun-gar ke azab aur, sawab aur hijr aur tarah ka hai, visal aur tarah ka ab ghar se nikalna hi padega ki mukhalif is bar! uthate hain, sawal aur tarah ka