aise lagta hai ki jaise kuchh yahan hone ko hai sar uthati ye zamin ab aasman hone ko hai aag to ud hi rahi thi aandhiyon ke dosh par ab saron par bhi dhuen ka saeban hone ko hai ye zamin kuchh bolti hai kan dhar kar to suno is ke andar jo nihan hai wo ayan hone ko hai main adalat mein khada hun faisle ka muntazir mere aaza-e-badan ka ab bayan hone ko hai kaun gadle paniyon mein tair sakta hai yahan aisi mashshaqi ka ek din imtihan hone ko hai khinch to tum ne liya meri ragon ka sab lahu ab tumhaari bhi kahani dastan hone ko hai