dhup ka aks kaDi dhup se baDh kar nikla

dhup ka aks kadi dhup se badh kar nikla
main jise aaina samjha tha wo patthar nikla

log dukh dard bhi tanha nahin sahne dete
mere ghar mein jo tamasha tha wo ghar ghar nikla

dekh kar chand talatum hai bapa sine mein
main samajhta tha jise dil wo samundar nikla

us ki yaadon se badi marka-arai hui
phir kahin ja ke mere dil se wo paikar nikla

us ne dastar ko bhi kasa bana rakkha hai
main jise shah samajhta tha gadagar nikla

munkashif hone laga sirr-e-nihan bhi mujh par
junhi sine se mere wahm ka khanjar nikla

ek din khud se taqabul kiya main ne apna
mere andar ka jo insan tha behtar nikla

khud-pasandi ka nasha aisa nasha hai 'ahmad'
main ne jis jis ko bhi dekha wahi khugar nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close