aise mantar bhi ho gae ijad laxmi bhi saraswati bhi mili wo jo ham-manzili nahin bhule un ko taufiq-e-ham-rawi bhi mili dushmanon hi se dushmani bhi mili aur dar-parda rahbari bhi mili dost hi jaan ko bhi aate rahe doston hi se zindagi bhi mili apne pyaron se pyar hum ko to tha ranj pae magar khushi bhi mili justuju ki mazid bakhshi dekh gul jo dhunda bakawli bhi mili zindagi thi faqat nasheb-o-faraaz ya kabhi sath-e-mustawi bhi mili musla-dhaar neamaten barsin un mein kotah-damani bhi mili