aise roya ki dil-e-zar ne sone na diya raat bhar dard ki takrar ne sone na diya tum jo aae to kahan nind kahan ka aaram kaif-o-masti bhare israr ne sone na diya hijr ki aag ne din-raat jalaya hum ko roz-o-shab dida-e-bedar ne sone na diya zakhm roe kabhi aankhen to kabhi dil tadpa ek lamha inhin do-chaar ne sone na diya us ki yaadon ka har ek naqsh bulata tha mujhe mujh ko shab bhar dar-o-diwar ne sone na diya wasl ki raat ajab rang mein guzri 'zakir' yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya