apne is daur mein hai ranj ka saman bahut aaj insan hai masail se pareshan bahut hijr mein yas-o-alam ne kahan tanha chhoda bin bulae mere ghar aa gae mehman bahut hum to aaghaz se hi ishq mein barbaad rahe nafa ke badle kiya hum ne to nuqsan bahut ishq ki jang mein aasan nahin fath-e-mubin kaam aae isi maidan mein insan bahut dost wo bante hain jo dil mein sama jate hain safar-e-zist mein takraate hain insan bahut bhid duniya mein hai ab kizb-o-riya walon ki aaj-kal milte nahin sahib-e-iman bahut umr bhar hoti rahin hasraten puri 'zakir' phir bhi hasrat hai ki nikle nahin arman bahut