aise samajhne wala nahin tha kisi tarah so mujh ko pesh aana pada dusri tarah ho sakta hai agar ye kisi aur bhi tarah kyunkar rahe hain phir use hum ek hi tarah tum aur tarah ke ho main hun aur tarah ka aao banaen mil ke koi tisri tarah ye kya ki jaise sare karen waise hi karo kuchh bhi ho karna chahiye us ko nai tarah sab se alag banaya hua rasta hai mera main ne lakir piti nahin auron ki tarah thoda to chahta hi nahin hun kisi ko main jis ko bhi chahne laga chaha buri tarah koi jo marzi kahta phire mujh ko kya gharaz main apna kaam karta rahunga isi tarah aapas mein sari tarhen mila di hain ‘gul-faraaz' aur is tarah banai hai aur hi koi tarah