tujhe kya bataun ai dilruba tere samne mera haal hai

tujhe kya bataun ai dilruba tere samne mera haal hai
mujhe justuju hai faqat teri mujhe sirf tera khayal hai

hai nazar mein meri to tu hi tu mera sans tera hi git hai
main bhula sakun tujhe dilruba bhala kab ye meri majal hai

mere jism mein tu hai har jagah mere hosh mein tu muqim hai
main mutia hun tera hi dilruba mere gham ki raat hilal hai

main to zinda tere hi dam se hun meri aarzu ki tu zindagi
teri bewafai ki ek nazar meri zindagi ka sawal hai

teri qurbaton ki talab mujhe teri did ki mujhe justuju
ki baghair jis ke ai mah-ru meri zindagi bhi muhaal hai

sar-e-sham hi se na jaane kyon hai jigar mein tis si dard ki
tere hijr hi mein ai dilruba yahi ishq ka zar-o-mal hai

tere gham mein 'gham' ko mila hai gham tujhe kis tarah se sukun kahun
tere gham mein aisi khushi mili jo ki gham ki zinda misal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close