aish-agah gham-shanas raha

aish-agah gham-shanas raha
ji kabhi khush kabhi udas raha

waqt ne anginat libas diye
phir bhi insan be-libas raha

us se puchho khushi ke ehsasat
muddaton jo ghamon ke pas raha

main wo sahra-e-be-sarab hun jo
apne hi lab ki ban ke pyas raha

qalb-e-nau mein ba-faiz-e-wahm-o-guman
har yaqin surat-e-qayas raha

hadson ke hujum mein pis kar
gham ka har lamha bad-hawas raha

qatl lamhon ka ho raha tha magar
waqt be-khauf-o-be-hiras raha

mera afsana-e-hayat 'ahmar'
ban ke har gham ka iqtibas raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close