khel kar silsila-e-gardish-e-ayyam ke sath zindagi hum ne guzari bade aaram ke sath sun raha hun dil-e-barbaad ke afsane mein aap ka nam bhi aaya hai mere nam ke sath shukr-sad-shukr ki muddat pe tujhe shikwa-taraaz yaad to aaya koi saikdon ilzam ke sath kam-nigahi se teri bazm-e-tarab mein saqi dekh aankhen na chhalak jaen kahin jam ke sath teri yaadon mein guzarte hue lamhon ki thakan lutf-e-aghaz bhi lai gham-e-anjam ke sath badhta jata hai ujalon pe andheron ka asar subh badnam na ho jae kahin sham ke sath is zamane mein gale milte hue dekha hai rawish-e-khas ko hum ne rawish-e-am ke sath hum bhi khele hain lab-e-shahid-e-mai se 'ahmar' jura-kash hum bhi rahe hain kabhi 'khayyam' ke sath