aish hi aish hai na sab gham hai zindagi ek hasin sangam hai jam mein hai jo mishal-e-gul-rang teri aankhon ka aks-e-mubham hai ai gham-e-dahr ke giraftaro aish bhi sarnawisht-e-adam hai nok-e-mizhgan pe yaad ka aansu mausam-e-gul ki sard shabnam hai dard-e-dil mein kami hui hai kahin tum ne puchha to kah diya kam hai mitti jati hai banti jati hai zindagi ka ajib aalam hai ek zara muskura ke bhi dekhen gham to ye roz roz ka gham hai puchhne wale shukriya tera dard to ab bhi hai magar kam hai kah raha tha main apna afsana kyun tera daman-e-mizha nam hai gham ki tarikiyon mein ai 'zaidi' raushni wo bhi hai jo maddham hai