biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain masalon mein uljhe hain fikr-o-gham mein ghaltan hain dub kar ubhar aae maut se gale mil kar apni sakht-jaani ke khud hi hum nigahban hain hum to thahre diwane hum to thahre sahrai ahl-e-fahm-o-danish ke chaak kyun gareban hain kab hisab manga tha aap ki jafaon ka kyun jhuki jhuki nazren kis liye pasheman hain aaj tak hai gham taza dost se bichhadne ka ab bhi aankhen roti hain zakhm-e-dil-farozan hain sab ke hum rahe apne kaun hai magar apna dhundhte hain apnon ko hum bhi kitne nadan hain 'tahira' zamane ki karwaton ka kya kahna honge ye bhi virane aaj jo gulistan hain