aish kar khuban mein ai dil shadmani phir kahan shadmani gar hui to zindagani phir kahan jis qadar pina ho pi le pani un ke hath se aab-e-jannat to bahut hoga ye pani phir kahan lazzaten jannat ke mewe ki bahut hongi wahan phir ye mithi galiyan khuban ki khani phir kahan wan to han huron ke gahne ke bahut honge nishan in pari-zadon ke chhallon ki nishani phir kahan ulfat-o-mahr-o-mohabbat sab hain jite-ji ke sath mehrban hi uth gae ye mehrbani phir kahan waiz o naseh baken to un ke kahne ko na man dam ghanimat hai miyan ye naujawani phir kahan ja pade chup ho ke jab shahr-e-khamoshan mein 'nazir' ye ghazal ye rekhta ye sher-khwani phir kahan