dard-e-furqat ko kya kare koi hae aadat ko kya kare koi dil ki hasrat ko kya kare koi is musibat ko kya kare koi pyar karne se aar hai to kaho achchhi surat ko kya kare koi doston ko to rokun shokhi se sari khilqat ko kya kare koi chashm-o-dil se chhupaun dard-e-nihan rang-e-surat ko kya kare koi apne dil ka to khun kar dalun un ki surat ko kya kare koi un ka farman hai ki aah-o-fughan ma-badaulat ko kya kare koi nasehon ko salam bhi kar lun us nasihat ko kya kare koi aarzu hai to khauf bhi kuchh hai pak niyyat ko kya kare koi tujh mein jo baat chahiye wo nahin le ke surat ko kya kare koi wo khafa hon to main khata kar lun chhed hujjat ko kya kare koi mehrban hain janab-e-dil us par aise hazrat ko kya kare koi meri taqrir mein to hai tasir teri sohbat ko kya kare koi nam bhi un ka hum nahin lete ab shararat ko kya kare koi ai safi' wo bigad gae man kar teri qismat ko kya kare koi