aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin

aish-o-ishrat sab sahi ye dam nahin to kuchh nahin
ek duniya ho to kya jab hum nahin to kuchh nahin

surmagin aankhon mein ashk-e-gham nahin to kuchh nahin
dast-e-rangin se mera matam nahin to kuchh nahin

subh ko shab ke satane ka gila-shikwa abas
jab pareshan gesu-e-barham nahin to kuchh nahin

ishq se thoda bahut to hai har insan ko lagao
dil mein kuchh kuchh dard kuchh kuchh gham nahin to kuchh nahin

is kamar par is nazakat par ye sidhi chaal kyun
bal nahin to kuchh nahin kuchh kham nahin to kuchh nahin

us ki shokhi ne use ai dil chhupa rakkha kahan
hashr mein wo fitna-e-alam nahin to kuchh nahin

milne walon ka baham mil baithna bhi lutf hai
jamghate shab ko sar-e-zamzam nahin to kuchh nahin

us ki raunaq aur hai us ka asar kuchh aur hai
un ki mahfil mein mera matam nahin to kuchh nahin

pyare pyare achchhe achchhe munh se han kah de kabhi
tere sadqe ye teri har-dam nahin to kuchh nahin

baal khole tum ne to kya chudiyan todin to kya
mere marne ka jo dil se gham nahin to kuchh nahin

baat jis ki thi gai saqi wo us ke dam ke sath
jam-e-jam ho bhi to kya jab hum nahin to kuchh nahin

phut kar rona nahin to phut hi jaen 'riyaz'
kaam ke jab dida-e-pur-nam nahin to kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close