nasheb-e-hijr mein din ikhtitam karte hue main khud mein dubta jata tha sham karte hue har ek lahr hai apne isi bahao mein main thak gaya tere dariya ko ram karte hue baras pada jo kisi roz mujh pe aks mera darun-e-aina-khana qayam karte hue mere sukut ko dohrane wale ye dar-o-baam sunai dene lage hain kalam karte hue tamam-umr teri rahguzar pe baith raha mera ghubar tera ehtiram karte hue ye khamushi hai to rukiye baghaur sunte hue sukhanwari hai to chaliye tamam karte hue gurez-pai ki had se guzar gaya tha wo shakhs 'naim' dur se mujh ko salam karte hue