aisi aadat paDi laDai ki

aisi aadat padi ladai ki
jaan leta hai bhai bhai ki

ungliyan uthti hain khudai ki
hat teri aisi be-hayai ki

dhajjiyan mai-kade mein shaikh ki aaj
khub udti hain parsai ki

jab se hath aaya un ke ghar ka nizam
sun raha hun badi safai ki

jis ke aage zamana jhukta hai
hai wo bas ek zat nai ki

jis pe neta ki ho gain nazren
us ne is daur mein khudai ki

wo hasinon ki jutiyan khaen
ho zarurat jinhen kamai ki

ishq ki aag mein jo jalta hai
us ko hajat nahin razai ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close