aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum kaun kahega phir ye fasana baith bhi jao sun lo koi dam wasl ki shirini mein pinhan hijr ki talkhi bhi hai kam kam tum se milne ki bhi khushi hai tum se juda hone ka bhi gham husn-o-ishq juda hote hain jaane kya tufan uthega husn ki aankhen bhi hain pur-nam ishq ki aankhen bhi hain pur-nam meri wafa to nadani thi tum ne magar ye kya thani thi kash na karte mujh se mohabbat kash na hota dil ka ye aalam parwane ki khak pareshan shama ki lau bhi larzan larzan mahfil ki mahfil hai viran kaun kare ab kis ka matam kuchh bhi ho par in aankhon ne akasr ye aalam bhi dekha ishq ki duniya naz-e-sarapa husn ki duniya ijz-e-mujassam shahd-shikan honton ki larzish ishrat baqi ka gahwara daera-e-imkan-e-tamanna narm lachakti banhon ke kham apne apne dil ke hathon donon hi barbaad hue hain main hun aur wafa ka rona wo hain aur jafa ka matam nakaami si nakaami hai mahrumi si mahrumi hai dil ka manana sai-e-musalsal un ko bhulana koshish-e-paiham ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam teri judai ke main qurban teri judai ke main qurban ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam