aisi hui sarsabz-shikayat ki kadi baat sabze ki tarah kan mein us gul ki padi baat kyunkar dahan-e-tang se zahir ho kadi baat munh aap ka chhota hai na niklegi badi baat gul-rang tere honth hue bar-e-sukhan se ai jaan uda le gai missi ki dhadi baat tere sukhan-e-sakht mein hai husn-e-nazakat kanon ko hui pamba-e-mahtab kadi baat is pech se tum mujh ko udate ho dam-e-nutq zanjir-e-ram-e-hosh ki banti hai kadi baat taqrir teri shakh-e-gul-e-taza hai ai mast deti hai kaf-e-baada mein phulon ki chhadi baat wasf-e-dur-e-dandan se ye badh jate hain rutbe rag rag ko bana deti hai moti ki ladi baat har kan hua hai sabad-e-gul se ziyaada kya phul ke manind tere munh se jhadi baat dhota hai sukhan dil se ghubar-e-gham-e-duniya hai gard-e-alam ke liye sawan ki jhadi baat kya mohr banai tere yaqut-e-sukhan ki manind-e-nagin hum ne anguthi mein jadi baat naqd-e-sukhan-e-pak diya gard-e-qalaq mein ganjine ke manind tah-e-khak gadi baat jis roz main ginta hun tere aane ki ghadiyan suraj ko bana deti hai sone ki ghadi baat ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj ki ahl-e-sukhan ne teri tarif badi baat