ek raste ki kahani jo suni pani se hum bhi is bar nahin bhage pareshani se meri be-jaan si aankhon se dhalakte aansu aaina dekh raha hai badi hairani se mere andar the hazaron hi akele mujh se main ne ek bhid nikali isi virani se mat khae hue tum baithe ho danai se jit hum le ke chale aae hain nadani se warna mitti ke ghade jaise badan hain sare marke sar hue sab jurat-e-imani se aaina chupke se manzar wo chura leta hai tu sajata hai badan jab kabhi uryani se