aisi kahan utri hai koi sham meri jaan ashjar pe likha hai tera nam meri jaan katte hain kahan ek se din raat ye mausam hai zist bhi ek hasrat-e-nakaam meri jaan kheton mein kahan ugte hain lafzon ke marasim harfon ki tijarat mein gae nam meri jaan mujh ko nahin pahunchi teri khushbu to karun kya be-shak tu rahe lala-o-gulfam meri jaan har gam talluq ki salibon pe chadhe hain chhutta hi nahin zat ka hangam meri jaan mit jaenge sab ranj-o-alam qurb se tere bheja hai tujhe pyar ka paigham meri jaan palkon pe dhare khwabon ke lashe na uthana hai aas yahi ishq ka anjam meri jaan