bahaar-e-zakhm-e-lab-e-atishin hui mujh se kahani aur asar-afrin hui mujh se main ek sitara uchhaala to nur phail gaya shab-e-firaq yunhi dil-nashin hui mujh se gulab tha ki mahakne laga mujhe chhu kar kalai thi ki bahut marmarin hui mujh se baghal se sanp nikale to ho gaya badnam kharab achchhi tarah aastin hui mujh se kahan se aai hai khushbu mujhe bhi hairat hai ye raat kaise gul-e-asmin hui mujh se main apne phul khilae hain us ki jhadi par qaba-e-yar bahut reshmin hui mujh se bas ek bosa diya tha kisi ke mathe par tamam-shahr ki raushan jabin hui mujh se ghazal suni to bahut dil se khush hua 'atif' magar ghazal ki sataish nahin hui mujh se