aisi koyal na papihe ki hai pyari aawaz kya bhali lagti hai kanon ko tumhaari aawaz jab mujhe tum ne pukara ye dua di main ne rahe makke mein madine mein tumhaari aawaz aap ke bol sunae wo hamein kya qudrat aisi paida to kare koi sitari aawaz sun ke bismil hue hum naghma-sarai un ki nahin malum chhuri hai ki katari aawaz be-sure samne us ke rahe tambur-o-sitar la ke taron ke juari ne sanwari aawaz is tarah roiye aansu faqat aankhon se bahen munh se nikle na dam-e-girya-o-zari aawaz chutkiyon mein na uda mujh ko mughanni batla saz ke parde mein kis ki hai ye pyari aawaz aise nale kiye hum ne ki gala baith gaya aai aafat wo gale par ki sidhaari aawaz nach gane mein wo aalam hai jo dekhe wo kahe sar-basar tum ho pari shoala hai sari aawaz 'bahr' roe ho zarur aaj kisi ke liye tum surkh surkh aankhen bhi hain aur hai bhaari aawaz