jo sahifon mein likhi hai wo qayamat ho jae gar mohabbat dil-e-insan se bhi rukhsat ho jae tu zaminon pe utar kar jo guzare ek din aasmanon ke khuda tujh ko bhi hairat ho jae kahin aisa na ho ki tanha yunhi rahte rahte rafta rafta mujhe tanhai ki aadat ho jae kuchh bashar aise bhi hote hain ki jin se mil kar dewtaon ki tarah un se aqidat ho jae bad-dua us ne mujhe di hai ki 'ruhi' tujh ko apne jaise kisi zalim se mohabbat ho jae