aisi tanhai hai apne se bhi ghabraata hun main jal rahi hain yaad ki shamen bujha jata hun main aa gai aakhir gham-e-dil wo bhi manzil aa gai mujh ko samjhate the jo ab un ko samjhata hun main zindagi aazada-rau bahr-e-haqiqat be-kanar mauj aati hai to badhta hi chala jata hun main bazm-e-fikr-o-hosh ho ya mahfil-e-aish-o-nishat har jagah se chand nashtar chand gham lata hun main zehn mein yaadon ke gulshan dil mein azm-e-ju-e-shir ek naya farhad pata hun jidhar jata hun main shab ke sannate mein rah ghairon ke naghme ki tarah ahl-e-dil ki bastiyon mein aah ban jata hun main himmat-afza hai har ek uftad rah-e-ishq ki thokaren khata hun girta hun sambhal jata hun main ishq aksar mangta hai naghma-e-ishrat ki bhik ahl-e-duniya ki tahi-dasti pe sharmata hun main sham-e-tanhai bujha do jhilmilati shama bhi in andheron hi mein aksar raushni pata hun main aaj aaghosh-e-tamanna thi shanasa-e-visal razm-gah-e-zindagi mein taza-dam aata hun main koi nazuk hath bazu tham leta hai mera thokaren khata to hun lekin sambhal jata hun main apne mitne ka bhi gham hota hai is ehsas se main nahin apna magar tera to kahlata hun main hai suhani kis qadar un duriyon ki chandni puchh leta hai koi 'zaidi' to itraata hun main