had se guzar gaya gham-e-dauran kabhi kabhi daman mein ashk ho gae ghaltan kabhi kabhi jab zoam-e-aql-o-hosh se kuchh bhi na ban saka kaam aa gai hai jurat-e-rindan kabhi kabhi aate hain inqalab kabhi bahar-e-inqalab kashti ko par karte hain tufan kabhi kabhi sar de diya diya na magar ghair-e-haq ka sath duniya mein aae aise bhi insan kabhi kabhi kya kalba-e-hazin mein nahin raunaq-e-hayat hota hai dil yahan bhi ghazal-khwan kabhi kabhi ghabra ke zindagi se talash-e-qarar mein chhani hai khak-e-dasht-o-bayaban kabhi kabhi har chand hai dakan se mujhe pyar 'tahira' aati hai yaad mahfil-e-tahran kabhi kabhi