ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota koi fitna ta-qayamat na phir aashkar hota tere dil pe kash zalim mujhe ikhtiyar hota jo tumhaari tarah tum se koi jhute wade karta tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota gham-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khate ye wo zahr hai ki aakhir mai-e-khush-gawar hota ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein koi ghair ghair hota koi yar yar hota tere wade par sitamgar abhi aur sabr karte agar apni zindagi ka hamein e'tibar hota ye wo dard-e-dil nahin hai ki ho chaarasaz koi agar ek bar mitta to hazar bar hota gae hosh tere zahid jo wo chashm-e-mast dekhi mujhe kya ulat na dete jo na baada-khwar hota mujhe mante sab aisa ki adu bhi sajde karte dar-e-yar kaba banta jo mera mazar hota tumhein naz ho na kyunkar ki liya hai 'dagh' ka dil ye raqam na hath lagti na ye iftikhar hota