achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka

achchhi surat pe ghazab tut ke aana dil ka
yaad aata hai hamein hae zamana dil ka

tum bhi munh chum lo be-sakhta pyar aa jae
main sunaun jo kabhi dil se fasana dil ka

nigah-e-yar ne ki khana-kharabi aisi
na thikana hai jigar ka na thikana dil ka

puri mehndi bhi lagani nahin aati ab tak
kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka

ghuncha-e-gul ko wo mutthi mein liye aate the
main ne puchha to kiya mujh se bahana dil ka

in hasinon ka ladakpan hi rahe ya allah
hosh aata hai to aata hai satana dil ka

de khuda aur jagah sina o pahlu ke siwa
ki bure waqt mein ho jae thikana dil ka

meri aaghosh se kya hi wo tadap kar nikle
un ka jaana tha ilahi ki ye jaana dil ka

nigah-e-sharm ko be-tab kiya kaam kiya
rang laya teri aankhon mein samana dil ka

ungliyan tar-e-gareban mein ulajh jati hain
sakht dushwar hai hathon se dabana dil ka

hur ki shakl ho tum nur ke putle ho tum
aur is par tumhein aata hai jalana dil ka

chhod kar us ko teri bazm se kyunkar jaun
ek janaze ka uthana hai uthana dil ka

be-dili ka jo kaha haal to farmate hain
kar liya tu ne kahin aur thikana dil ka

baad muddat ke ye ai 'dagh' samajh mein aaya
wahi dana hai kaha jis ne na mana dil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close