ajab din the ki in aankhon mein koi khwab rahta tha kabhi hasil hamein khas-khana o barfab rahta tha ubharna dubna ab kashtiyon ka hum kahan dekhen wo dariya kya hua jis mein sada girdab rahta tha wo suraj so gaya hai barf-zaron mein kahin ja kar dhadakta raat din jis se dil-e-betab rahta tha jise padhte to yaad aata tha tera phul sa chehra hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha suhane mausamon mein us ki tughyani qayamat thi jo dariya garmiyon ki dhup mein payab rahta tha