ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun har sapne ko sachcha samjha main bhi kaisa pagal hun beach dilon ke wo duri thi tai karna aasan na tha aankhon ko ek rasta samjha main bhi kaisa pagal hun bada kiya tha pal-pos kar phir bhi ek din bichhad gae khwabon ko ek bachcha samjha main bhi kaisa pagal hun kante si khud meri shohrat har-pal dil mein chubhti hai fan ko khel-tamasha samjha main bhi kaisa pagal hun tan par to ujle kapde the lekin man ke kale the un logon ko achchha samjha main bhi kaisa pagal hun