ajab ek saya-e-lahut mein tahlil hogi fusun-e-hashr se haiat meri tabdil hogi kiye jaenge mere jism mein nuri izafe kisi raushan sitare par meri takmil hogi diya jaega ghusl-e-awwalin mere badan ko tilismi-bagh hoga us ke andar jhil hogi kabhi pahunchega hiss-e-samea tak harf-e-khufta kabhi aawaz-e-na-malum ki tarsil hogi kabhi uqde khulenge is asatiri zamin ke kabhi is dastan-e-kuhna ki tawil hogi